giitaayan An Interface to ISB

tujhe apane paas bulaatii hai terii duniyaa - Patitaa (1953)  

Lyrics: Shailendra | Music: Shankar-Jaikishan | Singer(s): Talat 
View in Nagari (Hindi)
tujhe apane paas bulaatii hai terii duniyaa kab se baa.Nhe.n phailaatii hai terii duniyaa tujhe apane paas bulaatii hai terii duniyaa sapane bhii yahaa.N benuur hai.n jo hai.n tere wo tujhase duur hai.n is duniyaa me.n teraa kaun hai -2 ye soch ke ghabaraa jaatii hai terii duniyaa tujhe apane paas bulaatii hai terii duniyaa nazaro.n se giraa de.nge kabhii do din me.n bhulaa de.nge kabhii barase.nge na baadal dhuul ke -2 ro-ro ke yahii samajhaatii hai terii duniyaa tujhe apane paas bulaatii hai terii duniyaa vahaa.N chhoTe-ba.De sab ek se vahaa.N ko_ii nahii.n jo tujh pe ha.Nse vahaa.N rishte na ho.nge jhuuTh ke -2 sabako siine se lagaatii hai terii duniyaa tujhe apane paas bulaatii hai terii duniyaa kab se baa.Nhe.n phailaatii hai terii duniyaa tujhe apane paas bulaatii hai terii duniyaa
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.