giitaayan An Interface to ISB

agar mai.n puuchhuu.N javaab doge, dil kyo.n meraa ta.Dap rahaa hai - Shikari (1963)  

Lyrics: Farouq Qaiser | Music: G S Kohli | Singer(s): Rafi, Lata 
View in Nagari (Hindi)
agar mai.n puuchhuu.N javaab doge dil kyo.n meraa ta.Dap rahaa hai tere hI dil me.n hai pyaar kuchh kuchh mere bhI dil me.n zaraa zaraa hai buraa na maano, to apane haatho.n ye bikharI zulfe.n, sa.Nvaar duu.n mai.n hasIn palako.n kI chhaa.Nv me.n ab ye saaraa jIvan guzaar duu.N mai.n ye dil kii baate.n koI na sun le sanam zamaanaa ba.Daa buraa hai, agar mai.n ... nazar bachaa ke, agar mai.n jaauu.n to meraa daaman, naa thaam lenaa koI jo puuchhe ye kyaa havaa hai kabhI bhii meraa naa naam lenaa lagaa ke dil se rakhe.nge ham to ye dard teraa diyaa huaa hai, agar mai.n ... ye Tha.nDii Tha.nDii, machalatii lahare.n hamaare dil ko, jalaa na jaae.n uThI hai tuufaa.N dil-o-nazar me.n kise bachaae.n kise sa.nbhaale.n na chain tumako naa hosh hamako ye kyaa huaa hai ye kyaa huaa hai, agar mai.n ...
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.