giitaayan An Interface to ISB

raat aur din diyaa jale, mere man me.n phir bhii a.ndhiyaaraa hai - Raat Aur Din (1967)  

Lyrics: Hasrat | Music: Shankar-Jaikishan | Singer(s): Lata 
View in Nagari (Hindi)
raat aur din diyaa jale mere man me.n phir bhii a.ndhiyaaraa hai jaane kahaa.N hai vo saathii tuu jo mile jiivan ujiyaaraa hai raat aur din... pag pag man meraa Thokar khaae chaa.Nd suuraj bhii raah na dikhaae aisaa ujaalaa koii man me.n samaae jisake piyaa kaa darshan mil jaae raat aur din... gaharaa ye bhed koii mujhako bataae kisane kiyaa hai mujhapar anyaay jisakaa hii diip vo bujh nahii.n paae jyoti diye kii duuje ghar ko sajaae raat aur din... khud nahii.n jaanuu.N Dhuu.NDhe kisako nazar kaun dishaa hai man kii Dagar kitanaa ajab hai ye dil kaa safar jiyaraa me.n aae jaise koii lahar raat aur din...
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.