wo kahate hai.n ra.njish kii baate.n bhulaa de.n
muhabbat kare.n, Kush rahe.n, muskuraa de.n
jawaanii ho gar jaavidaanii to yaa-rab
terii sadaa duniyaa ko jannat banaa de.n
shab-e-wasl kii beKudii chhaa rahii hai
kaho to sitaaro.n kii shamme.n bhujhaa de.n
tum afasaana-e-kais kyaa puuchhate ho
idhar aa_o ham tumako lailaa banaa de.n