zulmat-kade me.n mere shab-e-Gam kaa josh hai
ik shamaa hai daliil-e-sahar so khamosh hai
ai taazaa vaaredaan-e-bisaat-e-hawaa-e-dil
zinhaar gar tumhe.n havas-e-naav-nosh hai
dekho mujhe jo diidaa-e-ibarat-nigaah ho
merii suno jo gosh-e-nasiihat-ni_osh hai
daaG-e-firaaq-e-sohabat-e-shab kii jalii hu_ii
ik shammaa rah ga_ii hai so wo bhii khamosh hai
aate hai.n Gaib se ye mazaamii.n Kayaal me.n
'Gaalib' sariir-e-Kaamaa naawaa-e-sarosh hai
Rafi version

ya shab ko dekhate the ke har gosha-e-bisaat
daamaan-e-baaGabaan-o-kaf-e-gul-farosh hai
yaa subah-dam jo dekhiye aakar to bazm me.n
nai wo suuruur-o-shor na josh-o-kharosh hai
daaG-e-firaaq-e-sohabat-e-shab kii jalii hu_ii
ik shammaa rah ga_ii hai so wo bhii khamosh hai
zulmat-kade me.n mere shab-e-Gam kaa josh hai
ik shamaa hai daliil-e-sahar so khamosh hai
Jagjit Singh version
zulmat-kade me.n mere shab-e-Gam kaa josh hai
ik shamaa hai daliil-e-sahar so Kamosh hai
daaG-e-firaaq-e-sohabat-e-shab kii jalii hu_ii
ik shammaa rah ga_ii hai so wo bhii Kamosh hai

|