giitaayan An Interface to ISB

kabhii nekii bhii usake jii me.n gar aa jaaye hai mujhase - (Non-Film) (1956)  

Lyrics: Ghalib | Music: Taj Ahmed Khan/ Ghulam Ali | Singer(s): Talat / Ghulam Ali 
View in Nagari (Hindi)
kabhii nekii bhii usake jii me.n gar aa jaaye hai mujhase jafaaye.n kar ke apanii yaad sharmaa jaaye hai mujhase udhar wo badaGumaanii hai idhar wo naatawaanii hai na puuchhaa jaaye hai unase na bolaa jaaye hai mujhase sambhalane de zaraa ai naaummiidii kyaa qayaamat hai ke daamaan-e-Kayaal-e-yaar chhuuTaa jaaye hai mujhase qayaamat hai ki hoye mudda_ii kaa hamasafar 'Gaalib' wo qaafir jo Kudaa ko bhii na sau.Npaa jaaye hai mujhase % --- Kudaayaa jazbaa-e-dil kii magar taasiir ulTii hai ki jitanaa khii.Nchataa huu.N aur khi.Nchataa jaa_e hai mujhase wo bad-Kuu.N aur merii daastaan-e-ishq tuulaanii ibaarat muKtasar kaasid bhii ghabaraa jaaye hai mujhase taqalluf barataraf naaraazagii me.n bhii sahii lekin wo dekhaa jaaye, kab ye zulm dekhaa jaaye hai mujhase huye hai.n paa.Nv hii pahale nabard-e-ishq me.n zaKmii na bhaagaa jaaye hai mujhase na Thaharaa jaaye hai mujhase
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.