giitaayan An Interface to ISB

naksh fariyaadii hai kisakii shoKii-e-tahariir kaa - (Non-Film) (1958)  

Lyrics: Ghalib | Music: Talat | Singer(s): Talat 
View in Nagari (Hindi)
naksh fariyaadii hai kisakii shoKii-e-tahariir kaa qaaGazii hai pairaahan har paikar-e-tasaviir kaa kaave-kaave saKt-jaanii haay tanahaa_ii na puuchh subah karanaa shaam kaa laanaa hai juu-e-shiir kaa jazb-e-be-iKtiyaar-e-shauq dekhaa chaahiye ki naye shamshiir se baahar hai dam shamshiir kaa bas ke huu.N 'Gaalib' asiirii me.n bhii aatish zer-paa muu-e-aatish diidaa hai halaqaa merii za.njiir kaa
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.