giitaayan An Interface to ISB

##verse## aaj kii raat bahut garm hawaa chalatii hai - Sone Ki Chidiyaa (1958)  

Lyrics: Kaifi Azmi | Music: O P Nayyar | Singer(s): Kaifi Azmi 
View in Nagari (Hindi)
aaj kii raat bahut garm hawaa chalatii hai aaj kii raat na phuTapaath pe nii.nd aayegii sab uTho, mai.n bhii uThuu.N, tum bhii uTho, tum bhii uTho ko_ii khi.Dakii isii diiwaar me.n khul jaayegii ye zamii.n tab bhii nigal lene pe aamaadaa thii paa.Nv jab TuuTatii shaaKo.n se utaare hamane in mashiino.n ko Kabar hai na makaano.n ko Kabar un dino.n kii jo gufaa_o.n me.n guzaare hamane sirf Kaakaa thaa jo sach puuchho to Kaakaa bhii na thaa jisake ye kasad ye aiwaan utaare hamane haath Dhalate gaye saa.Ncho.n me.n to thakate kaise naKsh ke baad naye naKsh nikhaare hamane kii ye diiwaar baland aur baland aur baland baam-o-dar aur zaraa aur sa.Nwaare hamane ( aa.Ndhiyaa.N to.D liyaa karatii thii.n shama_o.n kii lave.n ja.D diye isaliye bijalii ke sitaare hamane ) -2 ban gayaa kasar to pahare pe ko_ii baiTh gayaa -2 so rahe Kaak pe ham chorii kii taamiir liye apanii nas nas me.n liye mehanat-e-paiham kii chhan band aa.Nkho.n me.n isii kasar kii tasviir liye are din pighalataa hai usii tarah saro.n par ab tak raat aa.Nkho.n me.n khaTakatii hai siyaah tiir liye aaj kii raat bahut garm hawaa chalatii hai aaj kii raat na phuTapaath pe nii.nd aayegii sab uTho, mai.n bhii uThuu.N, tum bhii uTho, tum bhii uTho ko_ii khi.Dakii isii diiwaar me.n khul jaayegii
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.