saare jag kii tuu maataa
ambe jagadambe maataa, saare jag kii tuu maataa
jo bhii tere dar pe aataa, maa.ngii muraade.n paataa
maataa tere darshan ko na.nge paa.Nv nit aa_uu.N
naariyal paan supaarii mewaa, tujhe bhog lagaa_uu.N
meharo.n waalii maa.N, saare jag pe mehar karo
sharaN me.n jo aaye tihaarii usake paap haro
baabaa ne apanii beTii ko hai Thukaraayaa
ek maa.N hai tuu maiyaa siine se jise lagaayaa
uu.Nche pahaado.n waaliye uu.Nchii hai terii shaan
jag ko war detii hai terii shakti mahaan
mai.n huu.N praaNii insaa.n maiyaa, mai.n huu.N bhuulanahaar
ho ga_ii hai bhuul mujhase, baksh do bakshanahaar
jyoto.n waalii maa.N, mere man kii jyot jagaa
warSho.n se mai.n pyaasaa merii pyaas bujhaa
|