giitaayan An Interface to ISB

aaye kuchh abr kuchh sharaab aaye - The Finest Ghazals of Mehdi Hassan (Non-Film) (1985)  

Lyrics: Faiz | Music: Pt Ghulam Qadir | Singer(s): Mehdi Hasan 
View in Nagari (Hindi)
aaye kuchh abr kuchh sharaab aaye usake baad aaye jo azaab aaye baam-e-miinaa se maahataab utare dast-e-saaqii me.n aafataab aaye kar rahaa thaa Gam-e-jahaa.N kaa hisaab aaj tum yaad behisaab aaye har raG-e-Kuu.N me.n phir charaaGaa.N ho saamane phir wo be-naqaab aaye 'faiz' kii raah sar-ba-sar ma.nzil ham jahaa.N pahu.Nche kaamayaab aaye % the following were not in the version I heard umr ke har waraq pe dil kii nazar terii mehar-o-wafaa ke baab aaye is tarah apanii Kaamushii guu.Njii goyaa har simt se jawaab aaye
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.