giitaayan An Interface to ISB

rahe.n naa rahe.n ham, mahakaa kare.nge - Mamta (1966)  

Lyrics: Majrooh | Music: Roshan | Singer(s): Lata / Rafi, Suman Kalyanpur 
View in Nagari (Hindi)
rahe.n naa rahe.n ham, mahakaa kare.nge banake kalii, banake sabaa, baaG-e-vafaa me.n ... mausam koI ho is chaman me.n ra.ng banake rahe.nge ham Khiraamaa.N chaahat kii Khushabuu, yuu.N hii zulfo.n se u.Degii, khizaa ho yaa bahaaraa.N yuu.N hii jhuumate, yuu.N hii jhuumate aur khilate rahe.nge, banake kalii banake sabaa baaGe vafaa me.n rahe.n naa rahe.n ham ... khoye ham aise kyaa hai milanaa kyaa bichha.Danaa nahii.n hai, yaad hamako kuuche me.n dil ke jab se aaye sirf dil kii zamii.n hai, yaad hamako isii sarazamii.n, isii sarazamii.n pe ham to rahe.nge, banake kalii banake sabaa baaG-e-vafaa me.n rahe.n naa rahe.n ham ... jab ham na ho.nge, jab hamaarii Khaak pe tum rukoge chalate-chalate ashko.n se bhiigii chaa.Ndanii me.n ik sadaa-sii sunoge chalate-chalate vahii.n pe kahii.n, vahii.n pe kahii.n ham tumase mile.nge, banake kalii banake sabaa baaG-e-vafaa me.n ... rahe.n naa rahe.n ham ... ## Duet Version ## suman: hai.n Khuubasuurat ye nazaare ye bahaare.n hamaare dam-qadam se rafii: zi.ndaa huii hai phir jahaa.N me.n aaj ishq-o-vafaa kii rasm hamase dono.n: yuu.N hii is chaman, yuu.N hii is chaman kii ziinat rahe.nge, banake kalii banake sabaa baaG-e-vafaa me.n rahe.n naa rahe.n ham ...
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.