bataa do tum hame.n be-daad karanaa
sikhaa de.n ham tumhe.n fariyaad karanaa
ham aa jaaye.nge apanii yaad ban kar
na bhuule se hame.n tum yaad karanaa
tasawwur me.n ye ko_ii kah rahaa hai
% not part of this ghazal
wo unhe.n yaad kare.n jisane bhulaayaa ho kabhii
hamane unako na bhulaayaa na kabhii yaad kiyaa
tasawwur me.n ye ko_ii kah rahaa hai
shab-e-furqat me.n hamako yaad karanaa
'riyaaz' ik mard-e-aaKir-dii.n ho tum bhii
samajh kar aakabat barabaad karanaa
|