dilawaalo.n kyaa dekh rahe ho in raaho.n me.n, in raaho.n me.n
hadd-e-nazar tak ye viiraanii saath chalegii, saath chalegii
sannaaTe phir sham_aa ke aa.Nsuu chaaT rahe hai.n, chaaT rahe hai.n
ye bastii jo uja.D ga_ii hai ab na basegii, ab na basegii
ghar ke a.ndar saare ja.ngal kaa sannaaTaa, sannaaTaa
shaam hu_ii to is ja.ngal me.n hawaa chalegii, hawaa chalegii
jinake haatho.n dil kii ye tauhiin hu_ii hai, tauhiin hu_ii hai
unake liye bhii ye duniyaa aisii na rahegii, aisii na rahegii
'razi' miyaa.N tum shaam se kaise chup baiThe ho, chup baiThe ho
kuchh to bolo aisii chup se baat ba.Dhegii, baat ba.Dhegii
|