giitaayan An Interface to ISB

ek naGmaa ek taaraa ek Gu.Nchaa ek jaam - Naghma-E-Dil (Non-Film) (1991)  

Lyrics: Sagar Siddiqi | Music:  | Singer(s): Ghulam Ali 
View in Nagari (Hindi)
ek naGmaa ek taaraa ek Gu.Nchaa ek jaam ai Gam-e-dauraa.N Gam-e-dauraa.N tujhe meraa salaam zulf aawaaraa garebaa.N chaak ghabaraa_ii nazar in dino.n ye hai jahaa.N me.n zi.ndagaanii kaa nizaam chand taare TuuT kar daaman me.n mere aa gire mai.nne puuchhaa thaa sitaaro.n se tere Gam kaa maqaam pa.D ga_ii.n pairaahan-e-subah-e-chaman par salawaTe.n yaad aa kar rah ga_ii hai beKudii kii ek shaam terii ismat ho ke ho mere hunar kii chaa.Ndanii waqt ke baazaar me.n har chiiz ke lagate hai.n daam
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.