giitaayan An Interface to ISB

gulashan gulashan sholaa-e-gul kii zulf-e-sabaa kii baat chalii - The Finest Ghazals of Mehdi Hassan (Non-Film) (1985)  

Lyrics: Asghar Saleem | Music: Mehdi Hasan | Singer(s): Mehdi Hasan 
View in Nagari (Hindi)
gulashan gulashan sholaa-e-gul kii zulf-e-sabaa kii baat chalii harf-e-junuu.N kii band-e-giraa.N kii jurm-o-sazaa kii baat chalii zi.ndaa.N zi.ndaa.N shor-e-junuu.N hai mausam-e-gul ke aane se mahafil mahafil ab ke baras har baaG-e-wafaa kii baat chalii ahad-e-sitam hai dekhe.n ham aashuftaa-saro.n par kyaa guzare shahar me.n usake band-e-kabaa kii ra.ng-e-hinaa kii baat chalii ek hu_aa diiwaanaa ek ne sar teshe se pho.D liyaa kaise kaise log the jinase rasm-e-wafaa kii baat chalii
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.