% prelude
dil kii choTo.n ne kabhii chain se rahane na diyaa
jab chalii sard hawaa mai.nne tujhe yaad kiyaa
puuchhane aate ho har roz asiiro.n ke mizaaj
kyuu.N nahii.n kahate ho jaa_o tumhe.n aazaad kiyaa
hai du_aa yaad magar harf-e-du_aa yaad nahii.n
mere nagmaat ko a.ndaaz-e-navaa yaad nahii.n
zi.ndagii zabr-e-musalasal kii tarah kaaTii hai
jaane kis jurm kii kaaTii hai sazaa yaad nahii.n
sirf dhu.Ndhalaaye sitaaro.n kii chamak dekhii hai
kab hu_aa kaun hu_aa mujhase Kafaa yaad nahii.n
aa_o ek sajadaa kare.n aalam-e-madahoshii me.n
log kahate hai.n 'saagar' ko Kudaa yaad nahii.n
|