giitaayan An Interface to ISB

rim\-jhim gire saavan, sulag sulag jaaye man ## both versions## - Manzil (1979)  

Lyrics: Yogesh | Music: R D Burman | Singer(s): Lata / Kishore 
View in Nagari (Hindi)
## (Lata Mangeshkar) ## rim-jhim gire saavan, sulag sulag jaae man bhiige aaj is mausam me.n, lagii kaisii ye agan rim-jhim gire saavan ... pahale bhii yuu.N to barase the baadal, pahale bhii yuu.N to bhiigaa thaa aa.nchal ab ke baras kyuu.N sajan, sulag sulag jaae man bhiige aaj is mausam me.n, lagii kaisii ye agan rim-jhim gire saavan ... is baar saavan dahakaa huaa hai, is baar mausam bahakaa huaa hai jaane piike chalii kyaa pavan, sulag sulag jaae man bhiige aaj is mausam me.n, lagii kaisii ye agan rim-jhim gire saavan ... ## (Kishore) ## rim-jhim gire saavan, sulag sulag jaae man bhiige aaj is mausam me.n, lagii kaisii ye agan rim-jhim gire saavan ... jab ghu.ngharuo.n sii bajatii hai.n buu.nde, aramaa.N hamaare palake na muu.nde kaise dekhe sapane nayan, sulag sulag jaae man bhiige aaj is mausam me.n, lagii kaisii ye agan rim-jhim gire saavan ... mahafil me.n kaise kah de.n kisii se, dil ba.ndh rahaa hai kis ajanabii se haay kare ab kyaa jatan, sulag sulag jaae man bhiige aaj is mausam me.n, lagii kaisii ye agan rim-jhim gire saavan ...
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.