giitaayan An Interface to ISB

rim\-jhim ke giit saavan gaae, haay - Anjaana (1969)  

Lyrics: Anand Bakshi | Music: Laxmikant-Pyarelal | Singer(s): Rafi, Lata 
View in Nagari (Hindi)
ra: rim-jhim ke giit saavan gaae, haay bhiigii-bhiigii raato.n me.n la: ho.nTho.n pe baat dilakii aae, haay bhiigii-bhiigii raato.n me.n la: teraa meraa puuchhe naataa ba.Dii vo ye ghaTaa gha.nghor hai chup huu.N aise me.n kah do kaise meraa saajan nahii.n tuu koii aur hai ke teraa naam, ho.nTho.n pe mere, tere... sapane merii aa.Nkho.n me.n ra: rim-jhim ke giit saavan gaae, haay bhiigii-bhiigii raato.n me.n ra: meraa dil bhii hai diivaanaa tere nainaa bhii hai.n naadaan se kuchh na sochaa, kuchh na dekhaa kuchh bhii puuchhaa na is a.njaan se chal pa.De saath ham aise, kaise banake saathii, raaho.n me.n (?) ra: rim-jhim ke giit saavan gaae, haay bhiigii-bhiigii raato.n me.n ba.Dii lambii jii kii baate.n ba.Dii chhoTii barakhaa kii raat jii la: kahanaa kyaa hai, sunanaa kyaa hai kahane sunane kii ab kyaa baat hai ra/la: bin kahe, bin sune dil ne dilase kar lii.n baate.n, baato.n me.n ra: rim-jhim ke giit saavan gaae, haay bhiigii-bhiigii raato.n me.n la: ho.nTho.n pe , baat dilakii aae, haay bhiigii bhiigii raato.n me.n...
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.