Ghulam Ali Version
jabase tuune mujhe diiwaanaa banaa rakhaa hai
sa.ng har shaKs ne haatho.n me.n uThaa rakhaa hai
usake dil par bhii ka.Dii ishq me.n guzarii hogii
naam jisane bhii muhabbat kaa sazaa rakhaa hai
pattharo.n aaj mere sar pe barasate kyuu.N ho
mai.nne tujhako bhii kabhii apanaa Kudaa rakhaa hai
ab mere diid kii duniyaa bhii tamaashaa_ii hai
tuune kyaa mujhako mohabbat me.n banaa rakhaa hai
% Abida Parveen version
% not part of this gazal
kisii kaa kyaa jo kadamo.n par zabiin-e-bandagii rakh dii
hamaarii chiiz thii hamane jahaa.N jaanii wahaa.N rakh dii
jo dil maa.ngaa to wo bole ke Thaharo yaad karane do
zaraa sii chiiz thii hamane Kudaa jaane kahaa.N rakh dii
jabase tuune mujhe diiwaanaa banaa rakhaa hai
sa.ng har shaKs ne haatho.n me.n uThaa rakhaa hai
% not part of this gazal
sunaa hai Gair kii mahafil me.n tum naa jaa_oge
kaho to aaj sajaa luu.N GariibaKaane ko
usake dil par bhii ka.Dii ishq me.n guzarii hogii
naam jisane bhii muhabbat kaa sazaa rakhaa hai
% not part of this gazal
duniyaa ba.Dii baawarii patthar puujane jaaye
ghar kii chakkii ko_ii na puuje jisakaa piisaa khaaye
pattharo.n aaj mere sar pe barasate kyuu.N ho
mai.nne tumako bhii kabhii apanaa Kudaa rakhaa hai
not part of this gazal
mar bhii jaa_uu.N to dafanaa denaa mayaKaane me.n
taake mayaKhaane kii miTTii rahe mayaKaane me.n
har ra.ng me.n ibaliis sazaa detaa hai
i.nsaa.N ko ba-har taur daGaa detaa hai
kar sakate nahii.n Gunaah jo ahamak log
unako beruuh nimaazuu.n me.n lagaa detaa hai
pii jaa ayyaam kii talKii ko bhii ha.Ns ke 'naasir'
Gam ko sahane me.n bhii qudarat ne mazaa rakhaa hai
|