giitaayan An Interface to ISB

Kaamosh kyuu.N kha.Daa hai suKan-jaan baat kar - Dillagee (Non-Film) (1993)  

Lyrics: Farhat Shahzad | Music: Rafique Husain | Singer(s): Ghulam Ali 
View in Nagari (Hindi)
Kaamosh kyuu.N kha.Daa hai suKan-jaan baat kar mar jaayegaa wagaranaa merii maan baat kar kisane kahaa ke baat kaa matalab bhii ho ko_ii is daur kii yahii to hai pahachaan baat kar chup chaap haar maananaa mansab nahii.n teraa tujh shaan ke nahii.n hai ye shaayaan baat kar kyuu.N aa.Nkh terii nam hai terii apanii ha.Nsii par dil kisane kar diyaa teraa wiiraan baat kar 'shahazaad' hai Kizaa.N to bahaaro.n kaa zikr laa batalaa to kyaa hai phuul kaa faramaan baat kar
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.