Kayaal-o-Kwaab hu_ii hai.n muhabbate.n kaisii
lahuu me.n naach rahii hai.n ye wahashate.n kaisii
na shab ko chaa.Nd hii achchhaa na din ko mehar achchhaa
ye ham pe biit rahii hai.n qiyaamate kaisii
wo saath thaa to Kudaa bhii thaa meharabaa.N kyaa
bichha.D gayaa to hu_ii adaawate.n kaisii
azaab jisakaa tabassum gazab hai jisakii nigaah
khi.Nchii hu_ii hai.n pas-e-jaa.N ye suurate.n kaisii
hawaa ke ruK pe hii rakhe huye chiraaG hai.n ham
jo bujh gaye to hawaa se shiqaayate.n kaisii
jo be-Kabar ko_ii guzaraa to ye sadaa dii hai
mai.n sa.ng-e-raah huu.N mujhape inaayate.n kaisii
|