shers in both versions
mai.n Kayaal huu.N kisii aur kaa mujhe sochataa ko_ii aur hai
sar-e-aa_iinaa meraa aks hai pas-e-aa_iinaa ko_ii aur hai
mai.n kisii ke dast-e-talab me.n huu.N to kisii ke harf-e-du_aa me.n huu.N
mai.n nasiib huu.N kisii aur kaa mujhe maa.Ngataa ko_ii aur hai
tujhe dushmano.n kii Kabar na thii mujhe dosto.n kaa pataa na thaa
terii daastaa.N ko_ii aur thii meraa vaaqayaa ko_ii aur hai
sher only in Ghulam Ali Version
kabhii lauT aaye.n to puuchhanaa nahii.n dekhanaa unhe.n Gaur se
jinhe.n raaste me.n Kabar hu_ii ke ye raastaa ko_ii aur hai
|