giitaayan An Interface to ISB

ruk jaanaa nahii.n tuu kahii.n haar ke - Imtihaan (1974)  

Lyrics: Majrooh | Music: Laxmikant-Pyarelal | Singer(s): Kishore 
View in Nagari (Hindi)
ruk jaanaa nahii.n tuu kahii.n haar ke kaa.NTo.n pe chalake mile.nge saaye bahaar ke o raahii, o raahii... suuraj dekh ruk gayaa hai tere aage jhuk gayaa hai jab kabhii aise koii mastaanaa nikale hai apanii dhun me.n diivaanaa shaam suhaanii ban jaate hai.n din i.ntazaar ke o raahii, o raahii... saathii na kaaravaa.n hai ye teraa imtihaa.n hai yuu.N hii chalaa chal dil ke sahaare karatii hai ma.nzil tujhako ishaare dekh kahii.n koii rok nahii.n le tujhako pukaar ke o raahii, o raahii... nain aa.Nsuu jo liye hai.n ye raaho.n ke diye hai.n logo.n ko unakaa sab kuchh deke tuu to chalaa thaa sapane hii leke koii nahii.n to tere apane hai.n sapane ye pyaar ke o raahii, o raahii...
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.