mujhe dekh ek azaab me.n, kabhii Kaab me.n
kabhii aatish-e-sar-e-Kaab me.n, kabhii Kaab me.n
ko_ii naql jhuumataa hai nigaah ke ruu-ba-ruu
kabhii i.ntazaar-e-sahaab me.n, kabhii Kaab me.n
kabhii baad-o-aatish-e-tez me.n hai merii namuu.N
kabhii Kaak me.n, kabhii aab me.n, kabhii Kaab me.n
kabhii apanii tarz badal badal ke bhii mil hame.n
kabhii aashnaa_ii ke baab me.n, kabhii Kaab me.n
hame.n phir se taazaa haqiiqato.n kaa suraaG de
kabhii pardaa aaye hijaab me.n, kabhii Kaab me.n
|