unake ik jaa.N nisaar ham bhii hai.n
hai.n jahaa.N sau hazaar ham bhii hai.n
tum bhii bechain ham bhii hai.n bechain
tum bhii ho beqaraar ham bhii hai.n
sharm samajhe tere taGaaful ko
waah kyaa hoshiyaar ham bhii hai.n
kaun saa dil hai jisame.n 'daaG' nahii.n
ishq kii yaadagaar ham bhii hai.n
% The following were not in the version I heard
ai falaq kah to kyaa iraadaa hai
aish ke khwaastagaar ham bhii hai.n
shahar khaalii kiye dukaa.N kaisii
ek hii baadaaKwaar ham bhii hai.n
tum agar apanii guu.n ke ho maashuuq
apane matalab ke yaar ham bhii hai.n
jisane chaahaa pha.Nsaa liyaa hamako
dilabaro.n ke shikaar ham bhii hai.n
aa_ii mayaKaane se ye kis kii sadaa
laa_o yaaro.n ke yaar ham bhii hai.n
le hii to legii dil nigaah terii
har tarah hoshiyaar ham bhii hai.n
Gair kaa puuchhiye na haal hamase
unake jalase ke yaar ham bhii hai.n
|