## This is the Ghazal as it appears in Faiz's original. ##
## In Asha's recording there are a few changes: "chhalakaa" ##
## for "jhalakaa" and "shiishaa-o-mai" for "shiishaa-e-mai". ##
## Ghulam Ali sings the last verse in live performances. ##
yuu.N sajaa chaa.Nd ki jhalakaa tere a.ndaaz kaa ra.ng
yuu.N fazaa mahakii ki badalaa mere hamaraaz kaa ra.ng
saayaa-e-chashm me.n hairaa.N ruKh-e-raushan kaa jamaal
surKhii-e-lab me.n pareshaa.N terii aawaaz kaa ra.ng
bepi_e huu.N ki agar lutf karo aaKhir-e-shab
shiishaa-e-mai me.n Dhale subah ke aaGaaz kaa ra.ng
cha.ng-o-nai ra.ng pe the apane lahuu ke dam se
dil ne lay badalii to maddham huaa har saaz kaa ra.ng
ek suKhan aur ki phir ra.ng-e-takallum teraa
harf-e-saadaa ko inaayat kare ejaaz kaa ra.ng
%
|