saathii haath ba.DhAnaa, saathii haath ba.DhAnaa
ek akelaa thak jaayegaa mil kar bojh uThaanaa
sAthI hAth ba.DhAnA ...
1) ham mehanatavaalo.n ne jab bhii milakar kadam ba.Dhaayaa
saagar ne rastaa chho.Daa parabat ne shIsh jhukaayaa
faulaadii hai.n siine apane faulaadii hai.n baahe.n
ham chAhe.n to paidA karade.n, chaTTAno.n me.n rAhe.n, sAthI ...
2) mehanat apanii lekh kii rakhanaa mehanat se kyaa Daranaa
kal gairo.n kii khaatir kii ab apanii khaatir karanaa
apanaa dukh bhii ek hai saathii apanaa sukh bhii ek
apanii ma.njil sach kii ma.njil apanaa rastaa nek, saathii ...
3) ek se ek mile to kataraa ban jaataa hai dariyaa
ek se ek mile to zarraa ban jaataa hai seharaa
ek se ek mile to raa_ii ban sakatii hai parabat
ek se ek mile to insaan bas me.n kar le kismat, saathii ...
4) maaTii se ham laal nikaale.n motii laae.n jal se
jo kuchh is duniyaa me.n banaa hai banaa hamaare bal se
kab tak mehanat ke pairo.n me.n ye daulat kii za.nziire.n
haath ba.Dhaakar chhiin lo apane sapano.n kii tasvIre.n, saathii ...
|