giitaayan An Interface to ISB

ai dil\-e\-naadaa.n, ai dil\-e\-naadaa.n, aarazuu kyaa hai - Raziaa Sultaan (1983)  

Lyrics: Jaan Nisar Akhtar | Music: Khayyam | Singer(s): Lata 
View in Nagari (Hindi)
(ai dil-e-nAdaan, ai dil-e-nAdaan, aarazuu kyaa hai, justajuu kyaa hai ) - 2 ai dil-e-nAdaan... ham bhaTakate hai.n, kyo.n bhaTakate hai.n, dashto-seharaa me.n aisaa lagataa hai, mauj pyaasii hai, apane dariyaa me.n kaisii ulajhan hai, kyo.n ye ulajhan hai ek saayaa saa, rU-baruu kyaa hai ai dil-e-nAdaan, ai dil-e-nAdaan, aarazuu kyaa hai, justajuu kyaa hai kyaa qayaamat hai, kyaa musiibat hai, kah nahii.n sakate, kisakaa aramaa.N hai zi.ndagii jaise, khoyii-khoyii hai, hairaa.n hairaa.n hai ye zamii.n chup hai, aasamaa.n chup hai phir ye dha.Dakan sii, chaar sU kyaa hai ai dil-e-nAdaan, ai dil-e-nAdaan, aisii raaho.n me.n, kitane kaa.NTe hai.n, Arazuuo.n ne, Arazuuo.n ne, har kisii dil ko, dard baa.NTe hai.n, kitane ghaayal hai.n, kitane bismil hai.n, is khudaaii me.n, ek tuu kyaa hai ek tuu kyaa hai, ek tuu kyaa hai ai dil-e-nAdaan, ai dil-e-nAdaan,
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.