giitaayan An Interface to ISB

svapn jha.De phuul se, miit chubhe shuul se - Nai Umar Ki Nai Fasal (1965)  

Lyrics: Neeraj | Music: Roshan | Singer(s): Rafi 
View in Nagari (Hindi)
svapn jha.De phuul se, miit chubhe shuul se luT gaye shrR^i.ngaar sabhii, baag ke babuul se aur ham kha.De kha.De, bahaar dekhate rahe kaaravaa.N guzar gayaa, gubaar dekhate rahe aa.Nkh bhii khulii na thii ki haaya dhuup Dhal ga_ii paa.Nv jab talaq uThe ki zi.ndagii fisal ga_ii paat paat jha.D gae ki shaakh-shaakh jal ga_ii chaah to nikal sakii (na par umar nikal ga_ii) - 2) giit ashk ban gae, svapn ho dafan gae saath ke sabhii diye, dhuaa.n pahan-pahan gae aur ham jhuke-jhuke, mo.D par ruke-ruke umr kii cha.Dhaav kaa utaar dekhate rahe, kaaravaa.N guzar... kyaa shabaab thaa ki phuul phuul pyaar kar uThaa kyaa kamaal thaa ki dekh aainaa sihar uThaa is taraf zamiin aur aasamaan udhar uThaa thaamakar jigar uThaa (ki jo milaa nazar uThaa) - 2) par tabhii yahaa.N magar, aisii kuchh havaa chalii luT ga_ii kalii kalii ki ghuT ga_ii galii galii aur ham luTe-luTe, vaqt se piTe-piTe shaam kii sharaab kaa khumaar dekhate rahe, kaaravaa.N guzar... haath the mile ke zulf chaa.Nd kii savaar duu.N ho.nTh the khule ke har bahaar ko pukaar luu.N dard thaa diyaa gayaa ke har dukhii ko pyaar duu.N aur saa.Ns yuu.N ke svarg, (bhuumi par utaar duu.N - 2) ho sakaa na kuchh magar, shaam ban ga_ii sahar vo uThii lahar ke Dhah gaye kile bikhar bikhar aur ham Dare Dare, niir nain me.n bhare o.Dh kar kafan pa.De mazaar dekhate rahe, kaaravaa.N guzar... maa.Ng bhar chalii ke ek jab na_ii na_ii kiran Dhol se dhunak uThii Thumak uThe charaN charaN shor mach gayaa ke lo chalii dulhan chalii dulhan gaa.Nv sab uma.Da pa.Daa, (bahak uThe nayan nayan - 2) par tabhii zahar bharii gaaz ek vah girii puu.nchh gayaa si.nduur taar taar huii chunarii aur ham ajaan se, duur ke makaan se paalakii liye huye kahaar dekhate rahe, kaaravaa.N guzar... svapan jha.De phuul se, miit chubhe shUl se luT gaye shrR^i.ngaar sabhii baag ke babuul se aur ham kha.De kha.De bahaar dekhate rahe kaaravaa.N guzar gayA gubbaar dekhate rahe
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.