terii aa.Nkho.n ke sivaa duniyaa me.n rakkhaa kyaa hai
ye uThe.n subah chale, ye jhuke.n shaam Dhale
meraa jiinaa meraa maranaa inhii.n palako.n ke tale
terii aa.Nkho.n ke sivaa ...
(rafii)
palako.n kii galiyo.n me.n chehare bahaaro.n ke ha.Nsate hue
hai.n mere Kaabo.n ke kyaa-kyaa nagar iname.n basate hue
ye uThe.n subah chale ...
iname.n mere aanevaale zamaane kii tasviir hai
chaahat ke kaajal se likhii huii merii taqadiir hai
ye uThe.n subah chale ...
(lataa)
Thokar jahaa.N maine khaaI inho.nne pukaaraa mujhe
ye hamasafar hai.n to kaafii hai inakaa sahaaraa mujhe
ye uThe.n subah chale ...
ye ho.n kahii.n inakaa saayaa mere dil se jaataa nahii.n
inake sivaa ab to kuchh bhii nazar mujhako aataa nahii.n
ye uThe.n subah chale ...
|