terii chhoTii sii ek bhuul ne saaraa gulshan jalaa diyaa
kyaa mahake.nge phir phuul kabhii, kyaa phir se bahaare.n aae.ngii
jaane kahaa.N kii riit hai ye, koii kare aur koii bhare
nyaaya nahii.n anyaaya hai ye, doshii ji_e, nirdosh mare
sun le tuu ai qaafil (???), tujhase kahe teraa dil
terii chhoTii sii ...
tuune a.ndhere de ke ise, chhiin lii naino.n kii muskaan
saa.Njh savere, raat aur din, isake lie ek samaan
sun le tuu ai qaafil (???), tujhase kahe teraa dil
terii chhoTii sii ...
tere chalan kii aa.Ndhii ne, dekh le kitane ghar luuTe
bikhar gae rishte naate, jiivan ke saathii chhuuTe
sun le tuu ai qaafil (???), tujhase kahe teraa dil
terii chhoTii sii ...
|