giitaayan An Interface to ISB

tum ik gorakh\-dhandaa ho - (Non-Film)  

Lyrics: Naaz Khayaalvi | Music:  | Singer(s): Nusrat Fateh Ali Khan 
View in Nagari (Hindi)
kabhii yahaa.N tumhe.n Dhuu.NDhaa, kabhii vahaa.N pahu.Nchaa tumhaarii diid kii Kaatir kahaa.N-kahaa.N pahu.Nchaa Gariib miT ga_e, paamaal ho ga_e lekin kisii talak na teraa aaj tak nishaa.n pahu.Nchaa % % [paamaal = pairoN tale roNde jaana] % % and then the qawwali itself: (I'm giving interesting excerpts only) ho bhii nahii.n aur, har jaa ho ho bhii nahii.n aur, har jaa ho tum ik gorakh dhandaa ho! % har zarre me.n kis shaan se tuu jalvaa-numaa hai hairaa.n hai magar aql ke kaisaa hai tuu, kyaa hai? tum ik gorakh dhandaa ho! tujhe dair-o-haram me.n mai.nne Dhuu.NDhaa tuu nahii.n milataa magar tashariig-farmaa tujhe apane dil me.n dekhaa hai! tum ik gorakh dhandaa ho! Dhuu.NDhe nahii.n mile ho, na Dhuu.NDhe se kahii.n tum aur phir ye tamaashaa hai jahaa.N ham hai.n vahii.n tum! tum ik gorakh dhandaa ho! jab bajuz tere koii duusaraa maujuud nahii.n phir samajh me.n nahii.n aataa teraa pardaa karanaa! tum ik gorakh dhandaa ho! % %[bajuz = alaavaa, besides] jo ulfat me.n tumhaarii kho gayaa hai usii kho_e hue ko kuchh milaa hai nahii.n hai tuu to phir inakaar kaisaa? nafii bhii tere hone kaa pataa hai % [nafee = denial (of His existence)] % mai.n jisako kah rahaa huu.N apanii hastii agar vo tuu nahii.n to aur kyaa hai? nahii.n aayaa khayaalo.n me.n agar tuu to phir mai.n kaise samajhaa tuu khudaa hai? tum ik gorakh dhandaa ho! hairaa.n huu.N is baat pe tum kaun ho kyaa ho? haath aao to but, haath na aao to Kudaa ho! tum ik gorakh dhandaa ho! aql me.n jo ghir gayaa la-intahaa kyo.nkar huaa? jo samajh me.n aa gayaa phir vo Kudaa kyo.nkar huaa? tum ik gorakh dhandaa ho! %[la-intahaa = endless] chhupate nahii.n ho saamane aate nahii.n ho tum jalvaa dikhaake jalvaa dikhaate nahii.n ho tum % dair-o-haram ke jhaga.De miTaate nahii.n ho tum jo asl baat hai vo bataate nahii.n ho tum hairaa.n huu.N mere dil me.n samaae ho kis tarah? haalaa.nke do jahaa.N me.n samaate nahii.n ho tum! % ye maabaad-o-haram, ye kaliisaa, vo dair kyo.n? harjaa_ii ho tabhii to bataate nahii.n ho tum! tum ik gorakh dhandaa ho! %[maabaad = that which follows] dil pe hairat ne ajab ra.Ng jamaa rakhaa hai! ek ulajhii huii tasaviir banaa rakhaa hai! kuchh samajh me.n nahii.n aataa ke ye chakkar kyaa hai? khel kyaa tumane azal se ye rachaa rakhaa hai! %[azal = the day this universe was formed] % ruuh ko jism ke pi.njare kaa banaakar kaidii usape phir maut kaa paharaa bhii biThaa rakhaa hai! ye buraaii, vo bhalaaii, ye jahannum, vo bahisht is ulaT-pher me.n farmaao to kyaa rakhaa hai? apanii pahachaan kii khaatir hai banaayaa sabako sabakii nazaro.n se magar khud ko chhupaa rakhaa hai! tum ik gorakh dhandaa ho! raah-e-tahaqiiq me.n har Gaam pe ulajhan dekhuu.N vahii haalaat-o-khayaalaat me.n anaban dekhuu.N %[raah-e-tehqeeq = (on my) way to find out] %[gHaam = step] banake rah jaataa huu.N tasaviir pareshaanii kii Gaur se jab bhii kabhii duniyaa kaa darpan dekhuu.N ek hii Kaaq pe fitrat ke tajaadaat itane! itane hisso.n me.n ba.NTaa ek hii aa.Ngan dekhuu.N! %[fitrat = nature] %[tajaadaat = conflicts] % kahii.n zahamat kii sulaGatii huii patjha.D kaa samaa kahii.n rahamat ke barasate hue saavan dekhuu.N %[zehmat = taqleef] % kahii.n phu.Nkaarate dariyaa, kahii.n khaamosh pahaa.D! kahii.n ja.ngal, kahii.n saharaa, kahii.n gulashan dekhuu.N Kuun rulaataa hai ye taqsiim kaa andaaz mujhe koii dhanavaan yahaa.N par koii nirdhan dekhuu.N % din ke haatho.n me.n faqat ek sulaGataa suuraj raat kii maa.Ng sitaaro.n se muza_iiyyan dekhuu.N %[faqat = sirf] %[muzayiyan = sajee huyi] % kahii.n murajhaae hue phuul hai.n sachchaaii ke aur kahii.n jhuuTh ke kaa.NTo.n pe bhii joban dekhuu.N! raat kyaa shay hai, saveraa kyaa hai? ye ujaalaa, ye a.ndheraa kyaa hai? % mai.n bhii naayib huu.N tumhaaraa aaKir kyo.n ye kahate ho ke "teraa kyaa hai?" tum ik gorakh dhandaa ho! %[naayib = representative] jo kahataa huu.N maanaa tumhe.n lagataa hai buraa saa phir bhii hai mujhe tumase bahar-haal Gilaa saa har zulm kii taufiiq hai zaalim kii viraasat mazaluum ke hisse me.n tasallii na dilaasaa %[taufeeq = power] % kal taaj sajaa dekhaa thaa jis shaqs ke sar par hai aaj usii shaqs ke haatho.n me.n hii kaasaa! yah kyaa hai agar puuchhuu.N to kahate ho javaaban is raaz se ho sakataa nahii.n koii shanaasaa! %[shanaasaa = to be aquainted] tum ik gorakh dhandaa ho!!
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.