giitaayan An Interface to ISB

tum saath ho jab apane, duniyaa ko dikhaa de.nge - Kaalia (1981)  

Lyrics: Majrooh | Music: R D Burman | Singer(s): Kishore, Asha 
View in Nagari (Hindi)
tum sAth ho jab apane, duniyA ko dikhA de.nge ham maut ko jIne ke, a.ndAz sikhA de.nge... ham to hai.n dil vaale, kha.njar se nahii.n Darate are, ham to hai.n dil vaale, kha.njar se nahii.n Darate ham zulfo.n ke kaidI hai.n, sUlI se nahii.n marate sUlI ko bhI zulfo.n kI, za.njIr banA de.nge tum sAth ho jab apane... ai ahal-e-jahA.n tum ko, nafarat kI hai bImArI barasAyA karo shole, phe.nkA karo chi.ngArI ham pyaar kI shabanam se, har aag bujhA de.nge tum sAth ho jab apane... mAnA ke a.ndhero.n ke, gahare hai.n bahut saaye par dar hai yahA.n kisako, AtI hai to raat aae ham raat kI sIne me.n, ik shammA jalA de.nge tum sAth ho jab apane...
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.