tumhii.n mere ma.ndir, tumhii.n merii puujaa, tumhii.n devataa ho
koii merii aa.Nkho.n se dekhe to samajhe, ki tum mere kyaa ho
tumhii.n mere ma.ndir, tumhii.n merii puujaa, tumhii.n devataa ho
jidhar dekhatii huu.N udhar tum hii tum ho
na jaane magar kin khayaalo.n me.n gum ho
mujhe dekhakar tum zaraa muskuraa do
nahii.n to mai.n samajhuu.Ngii, mujhase Kafaa ho
tumhii.n mere ma.ndir, tumhii.n merii puujaa, tumhii.n devataa ho
tumhii.n mere maathe kii bi.ndiyaa kii jhil-mil
tumhii.n mere haatho.n ke gajaro.n kii ma.nzil
mai.n huu.N ek chhoTii-sii maaTii kii gu.Diyaa
tumhii.n praaN mere, tumhii.n aatmaa ho
tumhii.n mere ma.ndir, tumhii.n merii puujaa, tumhii.n devataa ho
bahut raat biitii chalo mai.n sulaa duu.N
pavan chhe.De sargam mai.n lorii sunaa duu.N
tumhe.n dekhakar yah Kayaal aa rahaa hai
ki jaise farishtaa koii so rahaa hai
tumhii.n mere ma.ndir, tumhii.n merii puujaa, tumhii.n devataa ho
|