giitaayan An Interface to ISB

tuu husn hai mai.n ishq huu.N - Hamraaz (1967)  

Lyrics: Sahir | Music: Ravi | Singer(s): Mahendra Kapoor, Asha 
View in Nagari (Hindi)
tuu husn hai mai.n ishq huu.N, tuu mujh me.n hai mai.n tujh me.n huu.N mai.n isake aage kyaa kahuu.N, tuu mujh me.n hai mai.n tujh me.n huu.N ma: o soniye aa: o mere mahivaal ma: aajaa oy aajaa aa: paar nadii ke mere yaar kaa Deraa ma: tere havaale rabbaa dilbar meraa aa: raat balaa kii ba.Dhataa jaae, laharo.n kaa gheraa qasam Khudaa kii aaj hai mushkil milanaa meraa dono: Khair karii rabbaa saath jiye.nge saath mare.nge yahii hai fasaanaa aa: kahaa.N saliim kaa rutabaa kahaa.N anaarakalii -2 ye aisii shaaKh-e-tamannaa hai, jo kabhii na phalii -2 ma: na bujh sakegii bujhaane se, ahl-e-duniyaa ke -2 vo shamaa jo terii aa.Nkho.n me.n, mere dil me.n jalI -2 aa: huzuur ek na ek din ye baat AegI -2 ke taKht-o-taaj bhale hai.n ke ek kaniiz bhalii -2 ma: mai.n taKht-o-taaj ko Thukaraa ke tujhako le luu.Ngaa -2 ke taKht-o-taaj se terii galii kii Khaak bhalii -2 dono: saath jiye.nge saath mare.nge yahii hai fasaanaa -2 % % (rutabaa = stature; shaaKh-e-tamannaa = bough of desire; % ahl-e-duniyaa = people of this world)
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.