giitaayan An Interface to ISB

ai vatan ai vatan hamako terii qasam - Shaheed (1965)  

Lyrics: Prem Dhawan | Music: Prem Dhawan | Singer(s): Rafi 
View in Nagari (Hindi)
tuu nA ronA, ke tU hai bhagat si.nh kii maa.N mar ke bhI laal terA maregaa nahii.n Dolii cha.Dhake to laate hai dulhan sabhii ha.Nsake har koI phaa.Nsii cha.Dhegaa nahii.n jalate bhii gaye kahate bhii gaye aazaadii ke paravaane jiinaa to usiikaa jiinaa hai jo maranaa desh par jaane jab shahiido.n kii Dolii uThe dhuum se deshavaalo.n tum aa.Nsuu bahaanaa nahii.n par manaao jab aazaad bhaarat kA din us gha.Dii tum hame.n bhuul jaanaa nahii.n ai vatan ai vatan hamako terii qasam terii rAho.n mai.n jaa.n tak luTaa jaaye.nge phuul kyaa chiiz hai tere kadamo.n pe ham bhe.nT apane saro.n kii cha.Dhaa jaaye.nge ai vatan ai vatan koii pa.njaab se, koii mahaarAshhTr se koii yuu pii se hai, koii ba.ngaal se terii puujaa kii thaalii me.n laaye hai.n ham phuul har ra.ng ke, aaj har Daal se naam kuchh bhii sahii par lagan ek hai jot se jot dil kii jagaa jaaye.nge ai vatan ai vatan ... terii jaanib uThii jo kahar kii nazar us nazar ko jhukaa ke hii dam le.nge ham terii dharatii pe hai jo kadam Gair kaa us kadam kaa nishaa.N tak miTaa de.nge ham jo bhii diivaar aayegii ab saamane Thokaro.n se use ham giraa jaaye.nge
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.