o o aa
har zabaa.n rukii rukii, har nazar jhukii jhukii
kyaa yahii hai zi.ndagii, kyaa yahii hai zi.ndagii
ai vatan ke naujavaano.n, jaag aur jagaa ke chal - 2
(koras: jaag aur jagaa ke chal)
zulm jis kadar ba.Dhe, aur sar uThaa ke chal
(koras: jaag aur jagaa ke chal)
(kaamp hai terii nazar, unake dil me.n chor hai
un me.n bal hai, tere bhii baazuo.n zor hai) - 2
zaalimo.n kaa huruur Kaak me.n milaa ke chal
ai vatan ke naujavaano.n ...
(kyaa sama.ndaro.n kaa shor, aur bha.Nvar kii chaal hai
tere aage sar uThaae, mauj kii majaal kyaa) - 2
khol zi.ndagii kii naav, baadabaa.n u.Daa ke chal
ai vatan ke naujavaano.n ...
(kaaravaa.n vatan kaa aaj Daakuo.n me.n ghir gayaa
zulm ke a.ndhere me.n aa rahii hai is sadaa) - 2
i.nteqaam kaa mashaal haath me.n jalaa ke chal
koras: i.nteqaam, i.nteqaam, i.nteqaam
|