giitaayan An Interface to ISB

aise to na dekho, ke hamako nashaa ho jaaye - Teen Deviyan (1965)  

Lyrics: Majrooh | Music: S D Burman | Singer(s): Rafi 
View in Nagari (Hindi)
aise to na dekho, ke hamako nashaa ho jaae Kuubasuurat sii koii hamase Kataa ho jaae (2) aise to na dekho tum hame.n roko phir bhii ham naa ruke.n tum kaho kaafir phir bhii aise jhuke.n qadam-e-naaz pe ik sajadaa adaa ho jaae aise to na dekho ki hamako nashaa ho jaae khuubasuurat sii koii hamase khataa ho jaae aise to na dekho yuu.N na ho aa.Nkhe.n rahe.n kaajal ghole ba.Dh ke bekhudii ha.nsii gesuu khole khul ke phir zulfe.n siyaah kaalii balaa ho jaaye aise to na dekho ki hamako nashaa ho jaae khuubasuurat sii koii hamase khataa ho jaae aise to na dekho ham to mastii me.n jaane kyaa kyaa kahe lab-e-naazuk se aisaa na ho tumhe beqaraarii kaa gilaa ham se sivaa ho jaae aise to na dekho ki hamako nashaa ho jaae khuubasuurat sii koii hamase khataa ho jaae aise to na dekho
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.