giitaayan An Interface to ISB

yahaa.N badalaa vafaa kaa bevafaaii ke sivaa kyaa hai - Jugnu (1947)  

Lyrics: Tanvir Naqvi | Music: Firoz Nizami | Singer(s): Noorjehan, Rafi 
View in Nagari (Hindi)
ra: yahaa.N badalaa vafaa kaa bevafaaii ke sivaa kyaa hai mohabbat karake bhii dekhaa, mohabbat me.n bhii dhokaa hai nU: kabhii sukh hai, kabhii dukh hai, abhii kyaa thaa, abhii kyaa hai yuu.N hii duniyaa badalatii hai, isii kaa naam duniyaa hai kabhii sukh hai, kabhii dukh hai, abhii kyaa thaa, abhii kyaa hai ta.Dapane bhii nahii.n detii, hame.n majabuuriyaa.N apanii ra: mohabbat karane vaalo.n kaa ta.Dapanaa kisane dekhaa hai yahaa.N badalaa vafaa kaa bevafaaii ke sivaa kyaa hai nU: yuu.N hii duniyaa badalatii hai, isii kaa naam duniyaa hai kabhii sukh hai, kabhii dukh hai, abhi kyaa thaa, abhii kyaa hai ra: mohabbat karake bhii dekhaa, mohabbat me.n bhii dhokaa hai nU: bhulaa do vo zamaanaa jab mujhe apanaa banaayaa thaa ra: bhulaa do mu.Nh me.n ulfat jab tumhaare lab pe aayaa thaa nU: bhulaa do vo kasam jo dilaaii thii kabhii tumane ra: bhulaa do vo kasam jo ki khaaii thii kabhii tumane nU: bhulaa do dil se tum guzare hue ra.Ngiin zamaane ko ra: bhulaa do, haa.N bhulaa do ishq ke sazaa fasaane ko nU: tamannaao.n kii bastii me.n, a.ndheraa hii a.ndheraa hai ra: kise apanaa kahuu.N koii jo apanaa thaa paraayaa hai nU: yuu.N hii duniyaa badalatii hai, isii kaa naam duniyaa hai kabhii sukh hai, kabhii dukh hai, abhii kyaa thaa, abhii kyaa hai ra: mohabbat karane vaalo.n kaa ta.Dapanaa kisane dekhaa hai yahaa.N badalaa vafaa kaa bevafaaii ke sivaa kyaa hai yahaa.N badalaa ...
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.