laa laa laa laa~
yahii bahaar hai, yahii bahaar hai~
yahii bahaar hai duniyaa ko bhuul jaane kii
khushii manaane kii
yahii ghaDii hai jawaanii ke gunagunaane kii
haa.N, muskuraane kii
ye pyaare pyaare nazaare ye Tha.nDii Tha.nDii hawaa
ye halkaa halkaa nashaa
ye kaalii kaalii ghaTaa_o.n kii mast mast adaa
ye koyal.on kii sadaa
machal ke aa gayii, machal ke aa gayii~
machal ke aa gayii rut mastiyaa.N luTaane kii
haa.N, jhoom jaane kii
kalii kalii se ye bha.nware ne muskuraake kahaa
nazar milaa ke kahaa
nazar se kaam na nikalaa to gudagudaa ke kahaa
gale lagaa ke kahaa
kiyaa hai pyaar to, kiyaa hai pyaar to~
kiyaa hai pyaar to parawaa na kar zamaane kii
haa.N, ha.Nsii uDaane kii
o o o~~~~
jo TuuTaa hai rubaa.n~~~~
jo TuuTaa hai rubaa.n, usako TuuT jaane de
mere shabaab ko jii bhar ke giit gaane de
haa.N, giit gaane de
ta.Dap uThii hai.n, ta.Dap uthii hai.n~
ta.Dap uThii hai.n tamannaa_e.n jhuum jaane kii
haa.N, lagii bujhaane kii
|