giitaayan An Interface to ISB

ye kalii jab talak phuul ban ke khile - Aye Din Bahaar Ke (1966)  

Lyrics: Anand Bakshi | Music: Laxmikant-Pyarelal | Singer(s): Lata, Mahendra Kapoor 
View in Nagari (Hindi)
l: ye kalii jab talak phuul ban ke khile, intazaar, intazaar, intazaar karo, intazaar karo rafii: intazaar vo bhalaa kyaa kare, tum jise bekaraar, bekaraar, bekaraar karo, l: intazaar karo m: pyaar me.n pyaar kii bhii izaazat nahii.n -2 berukhii hai ajii ye muhaubbat nahii.n l: aa rahaa hai mazaa, tum shikaayat yahii, baar baar, baar baar, baar baar karo, intazaar karo l: husn pe to asar hone vaalaa nahii.n -2 ishq tum ko nA kar de dIvaanaa kahii.n m: hai ye diivaanagii bhii qubuul, tum agar hamase pyaar, hamase pyaar, hamase pyaar karo, l: intazaar karo m: roz hamane bayaan ye fasaanaa kiyaa -2 roz tumane nayaa ek bahaanaa kiyaa l: ye bahaanaa magar, aakhirii hai sanam aitabaar, aitabaar, aitabaar karo, intazaar karo
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.