giitaayan An Interface to ISB

ye kyaa zi.ndagii hai, ye kaisaa jahaa.N hai - Kohinoor (1960)  

Lyrics: Shakeel | Music: Naushad | Singer(s): Lata 
View in Nagari (Hindi)
zaKamo.n se kalejaa chuur huaa had ho ga_ii Gam me.n naalo.n kii kyaa huu.Nhii tabaahii hotii hai duniyaa me.n mohabbat-vaalo.n kii ye kyaa zi.ndagii hai, ye kaisaa jahaa.N hai -2 jidhar dekhiye zulm kii daastaa.n hai -2 kahii.n hai kafas me.n kisiikaa baseraa kahii.n hai nigaaho.n me.n Gam kaa a.ndheraa kahii.n dil kaa luTataa huaa kaaravaa.n hai jidhar dekhiye zulm kii daastaa.n hai -2 yahaa.N aadamii aadamii kaa hai dushman yahaa.N chaak inasaaniyat kaa hai daaman mohabbat kaa uja.Daa huaa aashiyaa.n hai jidhar dekhiye zulm kii daastaa.n hai -2 ye beraham duniyaa samajh me.n na aae yahaa.N kar rahe hai.n sitamaGar Kudaaii na jaane tuu ai duniyaavaale kahaa.N hai jidhar dekhiye zulm kii daastaa.n hai -2 ye kyaa zi.ndagii hai, ye kaisaa jahaa.N hai jidhar dekhiye zulm kii daastaa.n hai
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.