ki: ye raate.n, ye mausam, nadii kaa kinaaraa, ye cha.nchal havaa
aa: kahaa do dilo.n ne, kii ho.nge na mil kar, kabhii ham judaa
(dono): ye raate.n, ye mausam, nadii kaa kinaaraa, ye cha.nchal havaa
aa: ye kyaa baat hai aaj kii chaa.ndanii me.n - 2
ke ham kho gaye pyaar kii raaginii me.n
ki: ye baaho.n me.n baahe.n, ye bahakii nigaahe.n
lo aane lagaa zi.ndagii kaa mazaa
(dono): ye raate.n, ye mausam, nadii kaa kinaaraa, ye cha.nchal havaa
ki: sitaaro.n kii mahafil ne karake ishaaraa - 2
kahaa ab to saaraa jahaa.N hai tumhaaraa
aa: muhabbat javaa.N ho, khulaa aasamaa.N ho
kare koI dil aarazuu aur kyaa
(dono): ye raate.n, ye mausam, nadii kaa kinaaraa, ye cha.nchal havaa
aa: qasam hai tumhe tum agar mujhase ruuThe - 2
ki: rahe saa.ns jab tak, ye ba.ndhan na TuuTe
aa: tumhe.n dil diyaa hai, ye vaadaa kiyaa hai
sanam mai.n tumhaarii rahuu.Ngii sadaa
ki: ye raate.n, ye mausam, nadii kaa kinaaraa, ye cha.nchal havaa
(dono): kahaa do dilo.n ne, kii ho.nge na mil kar,
kabhii ham judaa
(dono): ye raate.n, ye mausam, nadii kaa kinaaraa, ye cha.nchal havaa
|