giitaayan An Interface to ISB

zaraa nazaro.n se kah do jii nishaanaa chuuk na jaaye - Bees Saal Baad (1962)  

Lyrics: Shakeel | Music: Hemant Kumar | Singer(s): Hemant 
View in Nagari (Hindi)
zaraa nazaro.n se kah do jii nishaanaa chuuk na jaae zaraa nazaro.n se kah do jii mazaa jab hai tumhaarii har adaa qaatil hii kahalaae zaraa nazaro.n se... qaatil tumhe pukaaruu.N ke jaan-e-vafaa kahuu.N hairat me.n pa.D gayaa huu.N ke mai.n tum ko kyaa kahuu.N zamaanaa hai tumhaaraa zamaanaa hai tumhaaraa chaahe jisakii zi.ndagii le lo agar meraa kahaa maano to aise khel na khelo tumhaarii is sharaarat se na jaane kis kii maut aae zaraa nazaro.n se... haay, kitanii maasuum lag rahii ho tum tumako zaalim kahe vo jhuuThaa hai ye bholaapan tumhaaraa (ye bholaapan tumhaaraa ye sharaarat aur ye shokhii zaruurat kyaa tumhe.n talavaar kii tiiro.n kii kha.njar kii ) - (2) nazar bhar ke jise tum dekh lo vo khud hii mar jaae zaraa nazaro.n se... ham pe kyo.n is qadar biga.Datii ho chhe.Dane vaale tumako aur bhii hai.n bahaaro.n par karo gussaa ulajhatii hai.n jo aa.Nkho.n se havaao.n par karo gussaa jo Takaraatii hai.n zulfo.n se kahii.n aisaa na ho koii tumhaaraa dil bhii le jaae zaraa nazaro.n se...
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.