giitaayan An Interface to ISB

zi.ndagii ke safar me.n akele the ham - Nartaki (1963)  

Lyrics: Shakeel | Music: Ravi | Singer(s): Rafi 
View in Nagari (Hindi)
zi.ndagii ke safar me.n, akele the ham mil gae tum to dil ko sahaaraa milaa aa gae ik nae raaste par qadam jab tumhaarii nazar kaa ishaaraa milaa zi.ndagii ko tamannaa thii hamaraaz kii paaz-e-dil kii zaruurat thii aavaaz kii tumane jab muskuraakar pukaaraa hame.n zi.ndagii ko khushii kaa nazaaraa milaa ab zamaane kaa Dar hai na duniyaa kaa Gam apanii taqadiir par naaz karate hai.n ham aaj aa.Nkho.n ko jalave tumhaare mile aaj haatho.n ko daaman tumhaaraa milaa
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.