giitaayan An Interface to ISB

aadamii jo kahataa hai, aadamii jo sunataa hai - Majboor (1974)  

Lyrics: Anand Bakshi | Music: Laxmikant-Pyarelal | Singer(s): Kishore 
View in Nagari (Hindi)
kabhii sochataa huu.N, ki mai.n chup rahuu.N kabhii sochataa huu.N, ki mai.n kuchh kahuu.N aadamii jo sunataa hai, aadamii jo kahataa hai zi.ndagii bhar vo sadaaye.n piichhaa karatii hai.n aadamii jo detaa hai, aadamii jo karataa hai raaste me vo duaa_e.n piichhaa karatii hai.n koii bhii ho har Kvaab to achchhaa nahii.n hotaa bahut jyaadaa pyaar bhii achchhaa nahii.n hotaa hai kabhii daaman chhu.Daanaa ho, to mushkil ho pyaar ke raste chhuTe to, pyaar ke rishte TuuTe to zi.ndagii bhar phir vafaa_e.n piichhaa karatii hai.n ... kabhii kabhii man dhuup ke kaaraN tarasataa hai kabhii kabhii phir dil me.n, saavan barasataa hai pyaas kabhii bujhatii nahii.n, ik buu.Nd bhii milatii nahii.n aur kabhii rim jhim ghaTaa_e.n piichhaa karatii hai.n ...
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.