aap aaye to Kayaal-e-dil-e-naashaad aayaa
kitane bhuule hue zakhmo.n kaa pataa yaad aayaa
aap aaye ...
aap ke lab pe kabhii apanaa bhii naam aayaa thaa
shokh nazaro.n se muhabbat kaa salaam aayaa thaa
umr bhar saath nibhaane kaa payaam aayaa thaa
aapako dekh ke vo ahad-e-vafaa yaad aayaa
kitane bhuule hue zakhmo.n kaa pataa yaad aayaa
aap aaye ...
ruuh me.n jal uThe bujhatii huii yaado.m ke diye
kaise diivaane the ham aapako paane ke liye
yuu.N to kuchh kam nahii.n jo aapane ahasaan kiye
par jo maa.Nge na paayaa vo silaa yaad aayaa
kitane bhuule hue zakhmo.n kaa pataa yaad aayaa
aap aaye ...
aaj vo baat nahii.n phir bhii koii baat to hai
mere hisse me.n ye halkii sii mulaaqaat to hai
Gair kaa ho ke bhii ye husn mere saath to hai
haay kis vaqt mujhe kab kaa gilaa yaad aayaa
kitane bhuule hue zakhmo.n kaa pataa yaad aayaa
aap aaye ...
|