dasht-e-tanhaa_ii me.n ai jaan-e-jahaan larazaan hai
terii aavaaz ke saaye tere ho.nTho.n ke seraab
dasht-e-tanhaa_ii me.n duurii ke khas-o-khaaG tale
khil rahe hai.n tere pahaluu ke saame.n aur gulaab
dasht-e-tanhaa_ii me.n ...
% [dasht = space, oblivion]
% [larazaan = trembling]
% [seraab = ...]
% [khas-o-khaag = ??]
% [same.n = ??]
uTh rahii hai kahii.n qurabat se terii saa.Ns kii aa.Nch
apanii khushabuu me.n sulagatii huii
maddham, maddham duur ufaq paar chamakatii hui
qataraa qataraa mil rahii hai terii diladaar nazar kii shabanam
dasht-e-tanhaa_ii me.n ...
% [qurabat = proximity]
% [ufaq = horizon]
is qadar pyaar se ai jaan-e-jahaa.N rakhaa hai
dil ke ruKasaar pe is vaqt terii yaad ne haath
yuu.N Gumaa.N hotaa hai garaje hai abhii subh-e-firaaq
Dhal gayya hijr kaa din aa bhii gayii vasl kii raat
dasht-e-tanhaa_ii me.n ...
% [rukhsaar = face]
% [Gumaan = to feel]
% [firaaq = separation]
% [hijr = separation]
% [vasl = meet(ing)]
dasht-e-tanhaa_ii me.n ai jaan-e-jahaan larazaan hai
terii aavaaz ke saaye tere ho.nTho.n ke seraab
|