giitaayan An Interface to ISB

kab tak terii duniyaa me.n - Hamjoli (1946)  

Lyrics: Anjum Pilibhiti | Music: Hafiz Khan | Singer(s): Noorjehan 
View in Nagari (Hindi)
kab tak terii duniyaa me.n ye a.ndher rahegaa-2 paanii kii tarah khuun Gariibo.n kaa bahegaa-2 kab tak terii duniyaa me.n ye a.ndher rahegaa sa.nsaar me.n dukhiyo.n ko tere chain nahii.n hai-2 rahane ke liye ghar hai naa basane ko zamii.n hai fariyaad fariyaad hai fariyaad hai ye raaz nahii.n hai ye zulm kahaa.N tak ko_ii insaan sahegaa-2 kab tak terii duniyaa me.n ye a.ndher rahegaa dhanvaalo.n kii duniyaa me.n kafan ke bhii hai.n laale Chiine liye jaate hai.n ye ab muu.N ke nivaale pa.nje se amiirii ke Gariibii ko sulaale-2 varanaa teraa phir puujanevaalaa naa rahegaa-2 kab tak terii duniyaa me.n ye a.ndher rahegaa ham kyaa hai.n Gariib aa_o aa_o Gariib aa_o amiiro.n ko bataade.n mahlo.n kii uTho ii.nT se ham ii.nT bajaade.n maanaa ke ye zaalim hame.n duniyaa se miTaade.n duniyaa me.n Gariibo.n kaa magar naam rahegaa-2 kab tak terii duniyaa me.n ye a.ndher rahegaa kab tak terii duniyaa me.n bhagavaan bhagavaan
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.