giitaayan An Interface to ISB

bujhate hu_e chiraaG par - (Non-Film)  

Lyrics: Madhukar Rajasthani | Music: Hemant | Singer(s): Hemant 
View in Nagari (Hindi)
bujhate hu_e chiraaG par maatam manaa_e kaun jo usako chaahataa thaa usako bataa_e kaun wo Kud bhii be-kafan hii duniyaa se uTh gayaa hai chaahat kii maut ko hii ma.nzil samajh chukaa hai usako thaa ye bharosaa ye bhii miTegii mujh pe usako thii ye tamannaa ye bhii ko_ii kah de miTate hu_e dilo.n par aa.Nsuu bahaa_e kaun bujhate hue chiraaG par ... duniyaa ko kyaa zaruurat jalanaa kisii kaa dekhe us kii to hai ye aadat haradam ujaalaa dekhe luTataa hai ghar kisii kaa ko_ii tamaashaa dekhe kitano.n kii imtahaa.N par duniyaa saveraa dekhe duniyaa kii is subah ko zaalim bataa_e kaun bujhate hue chiraaG par ... jal jal ke jiine waale terii ye daastaa.N hai miTate hu_e nishaa.N hai uja.Daa hu_aa jahaa.N hai dushaman terii zamiin hai dushaman ye aasamaa.N hai tuu puuchhataa hai kis se tuu Dhuu.NDhataa kahaa.N hai viiraN zi.ndagii ko phir se basaa_e kaun bujhate hue chiraaG par ...
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.